Shri Swami Samarth Mantra Jaap: 11 Malas (1188 Times) for Mental Health Cleansing

Swami Samarth Nitya Seva of 11 Malas is a path of Gratitude and a way to surrender our ego to the Guru.
Apna saara faltu bina matlab wala nakli Ahankaar apne Guru ke Pavitra Charno mein arpan karna matlab Nitya Seva hota hai.
Mantra ka Jaap karte karte Guru ki Divine Energy apne Subconscious Mind may enter karti hai aur Mind ke ander ki saari Gandi negative energy ko Kill karti hai aur Mind ekdum saaf hota hai full clean with all positive thoughts.
Swami Samarth Nitya Seva is daily honoring tribute to Guru given by Bhakts in order pooja done in specific time of the day in order.

Online Shree Swami Samarth Jaap Counter for Mobile , Tablet , Laptop and Desktop

Nitya Seva 11 Mala Jaap Counter Shree Swami Samarth ki daily Nitya Seva ke liye ekdum Perfect Tool hai.
Aap Ko logib nahi karna aur NO OTP kuch nahi bas Click karo aur Jaap karo har ek Chanting will be Traced and stored in your Browser.
Try Karo Brahama Muhurta may Chant karna lekin agar time nahi mila toh phir kahi par Shanti se Mobile Open kar ke Online Shre Swami Samarth Jaap Counter Open kar ke Chant chalu karo in Bus , Train , Car , Ola ,Uber, Autorichaw as per your time leking Nitya Seva karo Daily.

SHRI SWAMI SAMARTH
NITYA SEVA
11 Mala Online Jaap Counter

Mala
00
11
Jaap
0000
1188
000

स्वामी समर्थ नित्य सेवा 11 माला जपाचे फायदे

जेव्हा स्वामी समर्थ नित्यसेवा ११ माळांचा जप केला जातो, तेव्हा आपली योजना स्वामी समर्थांना समजावून सांगा आणि आपले ध्येय त्यांना सांगा. मग स्वामी समर्थ तुमच्या योजनेत येणारे सर्व अडथळे दूर करतील. अशा प्रकारे स्वामी समर्थ भक्ताला मदत करतात आणि त्याचे ध्येय साध्य करण्यासाठी त्याला सुरक्षित करतात.


Power Of Shri Swami Samarth Mantra Jaap

By Chanting Shri Swami Samarth creates a frequency which creates a bridge that transfers the Divine Power of Swami Samarth in our Mind , Our Mind starts thinking in postive way that make life productive and we focus on our Work with discration from all other faltu things that are not important in life.

How Nitya Seva make Mental Health Strong by giving Peace to Mind

Ek meri Observation wali ek story as example , Kya hota hai har ek ka Subconscious mind khud ko ekdum Shana Samazta hai , apne daily life may koi toh bhi apne ko insulting bolta hai traveling may , driving may koi apne ko negative bolta hai phir apne dimag may Badla lene ki planning chalu hoti full aur phir ghar , office or shop may hum sab ko full negative vibe may treat karte hai.
Suppose Boss apne ko Plan Leave approve nahi karta phir Boss ke liye full galab vichaar karnge dimag may gandi gandi baate bolenge , Boss ke baare may Bitching full , thoda jhoot ko aur jhoot bolkar Boss ki Image kharab karenge , Ye nahi sochenge ki kya reason se approve nahi kiya bas apna dimag laga denge aur apne jhoote dost aur apne ko negative bolne par Boost karenge.
Matlab har situation may hum log kisi aur ko responsible manege matlab Sirf May Shana aur Duniya Pagal Chor Harami , this is EGO , Narrow Mindness thinking which makes Loser wali thinking you will get noting.
Jab apne pass Paise nahi honge toh ye situation may full night sirf Badla aur Gandi Baate thinking karenge , Sleeping issues honge aur Kaam par focus nahi hoga full Mental Disturbance chalu apni Mental Health down hona chalu aur Paise aate hi Daaru , Smoking karke aur dimag ko drain kar karke Damage karenge.
Ye Time may jo aap ke saat Nasha karne wala dost apna sabse bada Enemy hai ye Dost ASTIN KA SAAP hai aur Jo Dost tumko gaali de kar ye nahi karne bolta hai toh Woh apna ASLI DOST hai ye baat dhyaan may rakko.
Drinking and Smoking will make your money drain and ghar may tension chalu lafde chalu full duniya ko tamasha.
Ek chote se insult ka ya rejection ka faltu mein bada Mind Fog create hota hai aur Nasha aur Jhoote Dost aah mein petrol ka kaam karte hai aur apna Ghar , Relation , Mental Peace , Career , Job , Dhanda Pani Jala deta hai.
Matlab Nasha karne se Paisa gaya sab kuch gaya lekin na Badla liya full Mental Health ka satyanash kiya.
Ye humare sab ke saat hota hai ekdum comman problem hai Mumbai , Navi Mumbai , Pune , Nanded , Sambhaji Nagar , Nasik , Nagpur , Amravati sab city aur Goan may same story chalu aur phir Netflix , Movies full dimag ko volient karte hai.
Ye situation ko reverse kar sakte hai easy easy chote chote steps ke saat aur results daily display honge apni daily life may aur Negative se Positive Duniya may entry kar sakte hai , Change karna hai to next dekho.

How Nitya Seva will make your Mental Health Strong

Upar wale mein dekha kaise Life ka Satyanash ho gaya full sukh shanti gayab hogai , ye sab ka karan kya tha soch mental Thinking woh bhi Negative Thinking.
When you start Chanting you will feel something new around you from the first day , try to chant daily 11 Malas matlab har mala mein 108 baar Shri Swami Samarth bol kar Jaap karna hai total 1188 times.

Nitya Seva has 6 types of Tributes

1. Deep-Prajwalan

Cow Ghee may cottan daal kar diya ready karte hai light karne ka baad full Good Sattvik Energy create hoti hai which reduces Tamsic Energy.

2. Sharanagat Prarthana

This is prayer in which we surrender our EGO and Worries in feet of Swami Samarth as to honor him that these are noting before your Divine Power matlab humare choti soch wale Nalayak ke faltu ki khud ki Laziness hide karne ke bahane se Overthinking karke Sleep Disorder ka Anxiety wala Bhoot karke jo EGO and Faltu Soch ki Burj Khalifa se tall building banayi hai ye aap ke Charno may samparmit karta hu. Click to Read Sharanagat Prarthana.

3. Shri Ganpati Stotra

This Stotra creates a vibration in mind that clears out the Vigna that are created in Mind due to Overthinking , Apne ko lagta hai ki Ye problem ka solution kabhi nahi hoga lekin aisa nahi hota this trust in realized in our mind which gives Alag level ka confidence Boost phir JOSH bharta hai full body may focus ke saat kaam karne ka. Click karo Shri Ganpati Stotra

4.Tarak Mantra

This is the description for the Divine Power Swami Samarth has access in the entire Universe that can change the Past , Present and Future of Bhakt matlab Swami Samarth Bhakto ke Pichle Janmo ko EDIT kar sakte hai , Ye Current Janam ke conditions EDIT kar sakte hai aur Future ke Janam ki setting bhi EDIT kar sakte hai dimag mein sirf ye daalo ki Koi bhi Kitni Bhi Badi Problem Swami Samarth ke Samne NOTING hoti.
Kisi bhi Downfall ya Insult wali situation may bas trust se yaad karo Swami Samarth Maharaj ne bola kya tha Bhiu Nakos , Mi Tuzya Pathishi.

5. Mantra Jaap

Mantra Jaap creates a Powerful secure Positive Energy Belief in our mind that surrenders our Negative Energy before the Swami Samarth which tells our Subconscious Mind that Almighty , Avdoot Swami create sheild to protect Bhakt 24/7.
Mantra Jaap is very Powerful Tool that can Stop , Destroy , Change anything that can hurt Bhakt by Connecting to Swami Samarth.

6. Aarti

Aarti matlab Pure Desi Cow Ghee se Cotton wig se diya Light karke Swami Samarth ji ke Bhajan sing kar ke Hands Clap kar ke , Manjira , Dhol aur Veena bajakar ek Bhakti Wala climate karke Swami Samarth ji ke Shakti ko honor karna hota hai.
Ye Trust karna hota hai ki har baar Swami Samarth humare Mind may acche Solution wale creative thinking walr vichaar denge.